More Hindi Stories  Posts
Me, My Bro And Woh


Assalam u Alaikum.Dear Friends.
mera naam sikandar he .main lahore main rehta hon.Now i am Broken Hearted. (faillur in Love.)
main aaj ap k sath apni zindgi ki 1 bahut hi short, 100% true, or interesting story share karna chahon ga.I hope k ap logon ko ye story bahut pasand aaiay gi.
meri 1 cousin he jiska naam he -SARA-. 2006 main hamari dosti hoi or dheeray dheeray ye dosti 2010 k start mian love main badal gai.main usay bahut pasand karnay lga or wo b mujhay bahut pasand karti thi. ham donon ek dosray ko E-mail kartay thay or jab moqa milta tha chatting b kartay thay. or jab kabhi koi Song pasand aata to wo ek dosray k sath share b kartay thay.piyar bhari batain aksar hamaray darmiyan hoa karti theen.Door door rehnay ki waja se hamari mulaqat kabhi na hoi bas net pe hi rabta raha or love ho giya.
meray 1 bray bhai hen jinki abhi tak shadi nahi hoi.october 2010 main unki shadi meri 1 dosri cousin k sath final honi ti jis ka naam he NAINA. october main jab meri walda ne meray bhai se pocha k apko naina se shadi se koi inkaar to nahi? to meray bhai ne jawab diya k main naina se nahi sara se shadi kron ga mujhay wo pasand he. bas ye sunna tha k meray paaon k nichay se zameen nikal gai or 1 lamhay k liay mujh pe qiyamat nazil ho gai. qk main sara se be-had piyar karta tha wo meri zindgi thi mera jeenay ka maqsad tha. main ne ye kisi ko b nahi btaya thay k main sara se love karta hon. or isi liay us waqat b main chup raha
or meray baray bhai is hadd tak sara k pichay hath dho k par gaiay k unhon ne sara k ilawa kisi ka naam b sunna pasand nahi kiya.
pehlay to hamaray saray family members ne kaha k nahi tumhain shadi naina se hi kari hogi. lekan meray bhai k musalsal inkaar ki waja se sab razi ho gaiay k chalo theek he tum sara se hio shadi karna. Udhar jab sara ki behen ne sara se pocha k tumhari shadi sikandar k baray bhai se final honay ja rahi he tumharta kiya khiyal he. sara ne apni sister se ye keh diya k mian or sikandar ek dosray ko pasand kartay hen or mian sikandar k baray bhai se shadi nahi kron gi. to usi waqat sara ki sister ne mujhay sms kiya k kiya jo sara keh rahi he wo sach he? main ne reply kiya k han 100% sach he. ham donon ek dosray ko chahtay hen. sara ki sister ka apna mode ye tha k ham sara sikandar k baray bhai k liay dain. isi liay us ne hamara sath na diya or sara ki pori family ko bta diya. sirf sara k walid sahib ko is bat ka pata nahi tha.
idhar main ne apni sister or behnooi jo mujh se baut ziyada free hen , unko bta diya k ham ek dosray ko pasand kartay hen isi liay ap plz sara ko bacha lain. meray...

behnooi or main aksar ek dosray se apnay personal metter b discuss kiya kartay thay isi liay unhon ne har mumkin had tak mera sath diya.
lekan sara ki walda ne jab ye bat suni to unhon ne kaha k ham baron ne sara ka rishta tumharay bhai k sath final kar diya he ab tum sab kuch bhool jao. or agar is bat ka sara k abo ko pata chal giya to sara ko zror ghar se maar pray gi.agar tum chahtay ho k tumhari waja se usay koi takleef na puhnchay to usay bhool jao. sara ko main samjha don gi.
idhar meray behnoooi ne mujhay kaha k jab is baat ka tumharay baray bhai ko pata chal giya to wo tumhain apna dushman samjhnay lagain gay or tum donon bhaiyon k darmiyan main laraai ho jay gi. sari zindgi laraai karnay se acha he k apnay piyar ki qurbani day do. udhar sara ki sister ne b sara ko samjaya
26 Novomber 2010 ko main inhi bad-naseeb hathon se sara ko 1 mail compose kiya or usay ye sari baat samjhai. sara mujh pe be-hadd yaqeen karti he wo meray liay kuh b kar sakti he isi liay wo meri baat samajh gai or phir is trah hamrai love story 2010 k main start hoi or isi saal hi khatam ho gai.
agar main aisa na krta to log mujhay apnay bhai ka dushhman samajhtay or kehtay k sikandar ne apnay bhai ki zindgi main aag laga di he. or meray bhai b zara alag type k aadmi hen agar wo ye baat sun laitay to tention ho jati or wo samjhtay bilkull nahi hen wo wohi kartay hen jo unko samjh aata he.
lekan ab b kabhi kabhi main or sara ek dosray ko mail kar liya kartay hen jab kabhi yadon ka sailaab aata he to apnay apko rok nahi saktay.aaj b jab us se baat karta hon to aisay lagta he k jaisay Jism main Jaan aagai he. lekan mujhay yaqeen he k main sari zindagi usay nahi bhool sakta. jo larki meray dil ki raani thi ab uski shadi meray baray bhai se ho rahi he. ab haalaat ye hen k shadi ki tayriyan urooj pe hen or 2011 k start main hi unki shadi ho jaiay gi or hamari zindagi ki barbaadi to pehlay hi ho chuki he.
main ne sirf apnay bhai ki waja se qurbani di he agar yahan koi meray bhai ki jaga koi or hota to main sab ka jeena mushkil kar daita. jab tak k main usay hasil na kar laita.
lekan main ne ye soch liya he k meri sara ye nahi jo meri bhabhi ban kar aarahi he. meri sara to wo thi jo 1 saal k liay meri zindgi main Bahaar lay kar aai thi phir na janay dunya ki is bheer main kahan kho gai……
kahan chali gai …. or is trah gai k uskay lout k aanay ka intizar b nahi kiya ja sakta.

Submitted By :- Sikandar

...
...



Related Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

3 Comments on “Me, My Bro And Woh”

  • Very nice story bro

Punjabi Graphics

Indian Festivals

Love Stories

Text Generators

Hindi Graphics

English Graphics

Religious

Seasons

Sports

Send Wishes (Punjabi)

Send Wishes (Hindi)

Send Wishes (English)