More Hindi Stories  Posts
Palko Se Dua – Prince


Hii Everyone & Silent Readers, Mera nam Prince hain aur Mai is site ka Old Member hu. Mai lagbhag pichhle 5 salo se yha par hu. Kafi sari stories padhne ke bad mera bhi mann kiya ki koi story likhu par humesha sochkar hi rah jata tha kyoki meri koi love story abhi tak hai hi nhi, Phir mere mind me ek story idea aaya to main use yha par narrate kar raha hu. I hope aap logo ko pasand aaye? To ye Real Love Story nhi hai balki ise maine sochkar banaya hain. Ab time na waste karte hue story btata hu….

Pehle to Ravish Mujh par hansa tha jo maine usse kaha ki Riya mujhe achhi lagti hai. Kehne laga, uske aaye abhi 2 din hi huye hain aur tume achhi lagne lagi! Are ja koi aur machhli pakad, Ye to abhi nadan hai aur Umr me tumse chhoti dikhti hai. Vaise bhi ise yahan Jyaada din rukna nahi hai.
Riya, hamare hi apartment ke nichle floor me rahne wali Gupta aanti ki bhatiji thi. Garmi ki chhuti me aayi thi wah. Ek mahine ke liye kalkate se. Pr do din me hi wah humlogo se itni ghul_mil gai ki 1 mahine tak uske gair hone ka ehshas hi na hua. Shadgi to jaise uske rom-rom me bhari ho. Satrahvi (17th) basant paar kr chuki hogi shayed pr Bachpanna aaj bhi usme jhalakta tha. Chehre ka rang mano dudh-haldi ka lep laga kr abhi abhi hi dhoya gaya ho aur bhure aankh uske khubsurat hone ke suboot de rahe the. Par apni khubsurti se anjan thi shayed. Kabhi apne balon ko dusre ladkio ki terah sawarte nahi dekha tha use. Har mahaul me apne-aap ko dhal lene wali ek chulbul ladki thi wah.
Jab kabhi Ravish ke na rehne aa jaya karti thi wah mere room me aur mera pura samay uske tuti-futi hindi ke sath guzar jata. Ravish jo mera room partner tha. Use kya pta is dil ke nadani ka, jo kab, kahan aur kaise kis pr aa jaye. Kya ye jaroori hai ki jise hum chahen wah hum-umr ho, wah hr din paas ho aur hum ek dusre ko bar-bar i love you bolen. Main nahi manta. Nahi manta ki pyaar ko mukam shadi ke roop me de. Mere khyal se pyaar jindgi ka ek alag hi Rishta hai. jo ki gam bhi deta hai aur khushi bhi. Jisme na koi bada hota hai aur na koi chhota. Pyar ke liye sab ek saman hain aur pyaar sabke liye.
Pta hi na chala 2 hafte kaise bit gaye. In 2 hafto me main uske bahoot kareeb aa chuka tha. waise zuban se kai terah ki baate hoti rahi. pr muhabbat ki baaten hum dono ki aankhe hi batiya sake. Humme se kisi ki himmat nahi hui ek dusre se izhaar krne ki.
Ek din jab wah mere Palko se gire baal lekr mere Hatheliyo ke uper rakha aur aankhe band kr mujhe kuch mangne ko kaha....

mujhe in sab baato pr wishvas na tha. Tut te huye taaro se mangna, jharte huye baal se mangna. Are jiska khud ka thikana chhut raha ho wah kisi aur ko kya de sakta hai! Fir bhi uska dil rakhne ke liye maine ankhe band kr li. uske kanpte hatheli mere ankho pr zame the. Jaise keh raho ho…\’MuJHe Hi MaNg Lo nA\”. meri ankhe khuli to uski nigahe apne hotho pr paya. Lag raha tha, wah padh rahi hai mere hotho ko ki main kya mang raha hun. Aur is adaa me balla ki khubsurat lag rahi thi wah.
Uske har adaa ki tarif main ek shayrane andaz me karta tha. uske Bengali hone ke karan na main bangla janta tha aur na wah hindi padh sakti thi. isliye likh kr bhi dena mumkeen na tha. Uske baato ko main apne mobile me record krta raha aur is aash me mitata raha ki koi dil ki baat save karunga.
Aur is terah na jane kab ek mahine bit gaye. Do din pehle hi uski school khul chuki thi aur aaj use wapas jana tha or wah bhi koi raat wali train se. Samajh me nahi aa raha tha ki main kya krun. Abhi tak apne pyaar ka izhaar bhi na kr saka tha mai. Is ummid me ki wah khud kahegi mujhse. Mai sara din apne palko se baal jharne ka intezaar karta raha. Aur jo milta use apne hathelion pe rakh sirf yahi mangta ki \”wah mujhse apne dil ki baat kahe\”.
Par jaldi hi din bhi dhal gaya. Uske priwar walon ke sath mujhe bhi use Station chhodne jana tha. mere har badhte kadam mujhe wapas khinch rahe the. kisi terah anchahe kadmo ke sath main Station pahunch chuka tha. kambakht train ko bhi jaldi hi aana tha isliye humlogo to jyada intezaar nhi karna pada Woh apni Bua ke sath train me baith chuti thi. Aur main use andar zagah dikhakr bahar khidki ke pass aa khada hua. Dil se to kai baate nikal rahi thi pr Zubaan pe jaise taale lag gaye ho. Bas itna hi keh saka…
\”HaR Koi TuMhe kUcH nA kUcH DiYa siWaye mERe, sO i m soRRy, i WiLL miSS yOU..\” itna keh main waha se jaane laga tabhi uska hanth mere hatho pe aa gaye.

\”ZUBAAN SE NA SAHI ESAARO SE KAHA THA!!
SAMAJH NA SAKE TUM TO MERA KUSOOR KYA THA!!\”

Kehte huye hansne lagi…\”To Kya Hua! Apke Sath Rahte-Rahte Main Shayri Karna To Jaan Gai.\”
Main uske hatho me apni Dairy aur uske Zubaan se apna sher sun awak reh gaya. Sayed meri Palke meri Dua sun chuke the… Thanks!

Agar aap logo ko ye kahani pasand aayi ho to comment jaroor karen? Aap apne reviews mujhe WhatsApp par +919199007192 bhi bata sakte ho…

Submitted By:- Prince

...
...



Related Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

One Comment on “Palko Se Dua – Prince”

Punjabi Graphics

Indian Festivals

Love Stories

Text Generators

Hindi Graphics

English Graphics

Religious

Seasons

Sports

Send Wishes (Punjabi)

Send Wishes (Hindi)

Send Wishes (English)